| Assalamoalaikum, We hope you will enjoy your visit here. Join our community! If you're already a member please log in to your account to access all of our features: |
- Pages:
- 1
- 2
| Muft Kay Mashwaray | |
|---|---|
| Tweet Topic Started: Mar 19 2005, 01:04 PM (149 Views) | |
| Miss Busy | Mar 19 2005, 01:04 PM Post #1 |
![]()
|
Muft kay Mashwaray * Aaj kal her gher main macher bohat hotay hain, Machron say bachnay ki aik tarkeeb to yeh hay masehri kay upper na soain balkay masehri kay neechay soain, Is say yeh faida hoga kay macher saari raat aap ko masehri kay upper talaash kertay rahain gain jab kay aap machron ko bewaqoof bana ker aaraam say masehri kay neechay kharaatain lay rahain hongain, Dosiri tarqeeb yeh hay kay bazaar say hans mukh powder khareedain, Macher ko paker kay issay gudgudi karain jaisay hee macher hansnay kay liyay mooo kholay powder foran us kay moo main daal dain, Macher hansi khushi mar jayay ga. * Ager aap chahtay hain kay aap kay sheeshay aur kaanch kay bartan tootnay say mehfooz rahain to is ki aik tarkeeeb to yeh hay kay pooray ghar main irani qaaleen bicha lain, Bartan gir ker nahi tootain gain, Dosiri tarqeeb yeh hay kay sheeshay aur kaanch kay bartan hee ghar main na rakhain, Na hongay na tootnay ka dar ho ga. * Aksar logon ko subah jagaanay main bohot pareshani hoti hay, Kuch log to aisay naizti maray sotay hain kay woh ya to police kay uthanay say uthtay hain ya inhay ALLAH uthayay tab hee uthtay hain, Aisay logon ko jaganay ki behatreen tarkeeb yeh hay kay agar sardi hay to pankha chala dain aur agar garmi hay to pankha band kar kay aik taraf beth kay result ka intezaar karain, Ya to woh jaag jayay ga ya do chaar haath kha kar aap bhi so jayain gain hahaha. * Rotay huway bachay ko chup karanay ki tarqeeb yeh hay kay aap bhi rona shuroo kar dijiyay, Bacha foran chup ho ker aap ko hairat say dekhay ga aur sochay ga kay: Hamain to gardishay haalaat per rona aaya Ronay walay tu bata, Tujhay kis baat per rona aaya. * Ager kisi ko bohat ziyada bolnay ki beemari hay to ya to is ki shadi ker dijiyay ya issay paan khaanay ki aadat daal dijiyay khatir khawah faida ho ga . |
![]() |
|
| Deleted User | Mar 19 2005, 02:52 PM Post #2 |
|
Deleted User
|
app nay try kia is mein say aik mashwara ya nahi lollzzzzzzzz anyways nice sharing bring smile to my face |
|
|
| Ayesha | Mar 20 2005, 08:18 PM Post #3 |
|
Your Host
![]()
|
munna: munna: munna: munna: munna: |
![]() |
|
| Deleted User | Mar 20 2005, 10:12 PM Post #4 |
|
Deleted User
|
lolz lolz lolz lolz gr8 humaira aur sardii garmii wala best hai aur waquii karamad bhi lolz lolz lolz |
|
|
| Ahmaq | Mar 20 2005, 10:23 PM Post #5 |
![]()
Hum sa ho to saamnay a'ay
![]()
|
gr8: gr8: saira phir aap paan khana shuroo kerdain ab lolz |
![]() |
|
| Miss Busy | Mar 21 2005, 01:19 PM Post #6 |
![]()
|
mujhay bhi serdi aur germi wala acha laga kabhi check ker kay dekhoongi hina pay lolz lolz |
![]() |
|
| Deleted User | Mar 21 2005, 05:32 PM Post #7 |
|
Deleted User
|
lolzzzz gr8 huma |
|
|
| Miss Busy | Mar 21 2005, 10:37 PM Post #8 |
![]()
|
haan aap bhi check kariyay ga maja aayay ga |
![]() |
|
| Asim | Mar 21 2005, 11:04 PM Post #9 |
|
Per Dada/Per Dadi
![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() ![]()
|
wow gr8: humaira khala |
![]() |
|
| Deleted User | Mar 22 2005, 06:17 PM Post #10 |
|
Deleted User
|
gr8: gr8: cool |
|
|
| 1 user reading this topic (1 Guest and 0 Anonymous) | |
| Go to Next Page | |
| « Previous Topic · Halla Gulla · Next Topic » |
- Pages:
- 1
- 2











![]](http://z5.ifrm.com/static/1/pip_r.png)
5:21 AM Jul 11